chal pade apni raah pe akele
yaadein to resham si un lamhon ki jisme
kabhi hum beh gaye the
saath saath kuch pal
kisi roz hum jee gaye the
waqt ka ek daur wo bhi tha
tere bina jeena mushkil
tu hee ek humnawa tha jab
honth bhi gar see liya karte the
aapas mein kuch baatein
hum phir bhi kar liya karte the
ek daur aaj aisa bhi aaya hai
masroofiyat ka mahaul chhaya hai
saans lene ki fursat na ho gar
to kise yaad karen
kiske paas hai itna waqt
ki meri awaaz ka intezaar kare?
tumne to haale dil kehna chhod diya
ek humari hee aadat thi ke
jab kuch pal sahaare hote
ek sadaa tum tak zaroor
pahuncha diya karte the
khush rehna
aur yaadon ko dhundhla dena
waqt naam ka marham lagaa dena
tera saath gawaara na hua
tu humara hoke bhi humara na hua
meri ab har sadaa mere halak mein quaid hai
ki
aaj se zauq bhi
chal pade apni raah pe akele